Tumhi mere mandir, tumhi meri pooja, (tumhi devta ho) -2
Koyi meri aankho se dekhe to samjhe, (ke tum mere kya ho) -2
Tumhi mere mandir, tumhi meri pooja, (tumhi devta ho) -2
Jidhar dekhti hu udhar tum hi tum ho
Na jaane magar kin khayaalo mein gum ho
Mujhe dekhkar tum zara muskura do
Nahi to main samjhungi, mujhse khafa ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri pooja, (tumhi devta ho) -2
Tumhi mere maathe ki bindiya ki jhil-mil
Tumhi mere haatho ke gajro ki manzil
Main hu ek chhoti-si maati ki gudiya
Tumhi praan mere, tumhi aatma ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri pooja, (tumhi devta ho) -2
Bahot raat beeti chalo main sulaa du
Pawan chhede sargam main lori suna du hmm…
Tumhein dekhkar ye khayaal aa raha hai
Ke jaise farishta koyi so raha ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri pooja, (tumhi devta ho) -2
No comments:
Post a Comment