Monday, June 21, 2010

AAP AAYE BAHAAR AAYI Mujhe Teri Mohabbat Ka

Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

Na tha manzoor kismat ko na thi marzi bahaaron ki
Nahi to is gulistaan mein
Nahi to is gulistaan mein kami thi kya nazaaron ki
Meri nazron ko bhi koi nazaara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Khushi se apni aankhon ko main ashkon se bhigo leta
Mere badle tu has leti
Mere badle tu has leti tere badle main ro leta
Mujhe aye kaash tera dard saara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Mili hai chandni din ko ye unki apni kismat hai
Mujhe apna muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se faqat itni shikaayat hai
Mujhe toota hua koi sitaara mil gaya hota

No comments: