O mere sona re sona re sona re,
De dungi jaan juda mat hona re,
Maine tujhe zara der mein jana,
Huaa kusoor khafaa mat hona re -- (2)
O mere sona re sona re sona...
O meri bahon se nikal ke,
Tu agar mere raste se hat jayega,
To laharaake, ho balkhake,
Mera saaya tere tan se lipat jayega,
Chod ate hain kab ye armaan
Ki main bhii saath rahungi rahoge jahan,
O mere sona re sona re sona.
O miya hamse na chipao
Vo banaavat ki sari adayen liye,
Ki tum ispe ho itharaten,
Ki main pichhe hun sau iltizaan liye
Ji main khush hu mere sona
Jhooth hai kya, sach kahon naa
Ki main bhi saath rahungi rahoge jahan,
O mere sona re sona re sona.
O phir hamse na ulajh na
Nahin laat aur uljhan mein pad jayegi,
O pachataogi kuch aise
Ki ye suraki labon ki utar jayegi,
Ye sazaa tum bhool najana
Pyar ko thokar mat lagaana,
Ki chala jaunga phir main najaane kahan
O mere sona re sona re sona.
Saturday, June 5, 2010
O Mere Sona Re Sona Re ( Teesri Manzil)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment