Thursday, June 17, 2010

RANGELA RE

Rangeela re, ae rangeela
Rangeela re tere rang mein yun ranga hai mera mann
Chhaliya re na bujhe hai kisi jal se yeh jalan
Ho, rangeela re tere rang mein yun ranga hai mera mann
Chhaliya re na bujhe hai kisi jal se yeh jalan
Ho, rangeela re
Palkon ke jhoole se sapnon ki dori
Pyaar ne baandhi jo tune voh todi
Khel yeh kaisa re, kaisa re saathi
Diya to jhoome hain, roye hain baati
Kahin bhi jaaye re, roye ya gaaye re
Chain na paaye re hiyaa
Waah re pyaar, waah re waah
Rangeela re tere rang mein yun ranga hai mera mann
Chhaliya re na bujhe hai kisi jal se yeh jalan
Ho, rangeela re
Dukh mera dulha hai, birha hai doli
Aansu ke saari hai, aahon ki choli
Aag main piyoon re jaise ho paani
Naari deewaani hoon peeda ki rani
Manwa yeh jale hai, jag saara chhale hai
Saans kyoon chale hai piya
Waah re pyaar, waah re waah
Rangeela re tere rang mein yun ranga hai mera mann
Chhaliya re na bujhe hai kisi jal se yeh jalan
Ho, rangeela re
Rangeela rangeela
Maine to seenchi re teri yeh raahein - 2
Baahon mein teri kyoon auron ki baahein
Kaise tu bhoola voh phoolon si raatein
Samjhe jab aankhon ne aankhon ki baatein
Gaaon ghar chhoota re, sapna har toota re
Phir bhi tu rootha re piya
Waah re pyaar, waah re waah
Rangeela re tere rang mein yun ranga hai mera mann
Chhaliya re na bujhe hai kisi jal se yeh jalan
Ho, rangeela re, rangeela re

No comments: