Thursday, June 10, 2010

O Yaara Ve

o yaara ve yaara ve - 2
mera dil kho gaya hain kisika ho gaya hain
mera dil kho gaya hain kisika ho gaya hain
jaag uthi hai neende - 2
chain kahi so gaya hain
o yaara ve yaar ve - 2

samajh na aaya mujho woh ladki thi ya thi jaadu
nazren milte hi jisse raha na dil pe mera qaabu
samajh na aaya mujho woh ladki thi ya thi jaadu
nazren milte hi jisse raha na dil pe mera qaabu
jab bhi sunaaye khaamoshi maasoom si uski baaten
mere din sulagte hain hoti bechain yeh raaten
kabhi muskaana uska kabhi balkhana uska
kabhi baahon mein meri aake sharmaana uska
bahut yaad aa raha hain - 2 kahar woh dhaa raha hain
o yaara ve yaara ve - 2

aaisa bhi hota haina aksar jab jab yaad woh aayen
chha jaate hain in palkon pe uski nazar ke saaye
aaisa bhi hota haina aksar jab jab yaad woh aayen
chha jaate hain in palkon pe uski nazar ke saaye
uska tasavuur aake dil mein aaisa dard jagaaye
yun lagta hain jism se jaise jaan nikalti jaaye
kabhi balkha ke chalna kabhi ghabra ke rukna
daal phoolon ki banke uska woh mujhpe jhukna
bahut yaad aa raha hain - 2 kahar woh dhaa raha hain
o yaara ve yaara ve - 2

woh itna bhi tadpaayega socha na tha maine
mere gam pe muskaayega socha na tha maine
woh itna bhi tadpaayega socha na tha maine
mere gam pe muskaayega socha na tha maine
maine yeh dil diya hai jisko woh pathhar dil hoga
jisko maseeha samjha maine mera qaatil hoga
woh uska ruth jana mera usko manana
simat ke ek pal mein woh gujra hai zamana
bahut yaad aa raha hain rulaaye jaa raha hain
o yaara ve yaar ve - 2
mera dil kho gaya hain kisika ho gaya hain
mera dil kho gaya hain kisika ho gaya hain
jaag uthi hai neende - 2
chain kahi so gaya hain
o yaara ve yaara ve - 2

No comments: