Tuesday, May 4, 2010

SHIKWA NAHI KISI SE KISI SE GILL NAHI GREAT TRAGEDY SONG GOVINDA

shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin - (2)
naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin
naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin - (2)

tu mil saka na hamako, tassali toh mil gayi - (2)
aayi bahaar shaakh pe kali bhi khil gayi
armaan tha hamako jiska woh gul khila nahin - (2)
naseeb mein nahin tha jo hamako mila nahin - (2)

yaadon ki jhilmil aati parchhaaiyon ke din - (2)
katate nahin hai tanaha tanhaaiyon ke din
hai chaahaton ka dilkash abb silsila nahin - (2)
naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
shikawa nahin kisi se, kisi se gila nahin - (2)
naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin - (2)

No comments: