Tuesday, May 25, 2010

Tu Is Tarah Se Meri Zindagi Mein

tu iss tarah se meri jindagi mein shamil hain
jaha bhi jao yeh lagata hain teri mehafil hain

yeh aasaman, yeh badal, yeh rasate, yeh hawa
har ek chij hain apani jagah thhikane se
kayi dino se shikayat nahi jamane se
yeh jindagi hain safar, tu safar ki manjil hain

har ek phul kisi yad sa mahakata hai
tere khayal se jagi huyi fijaye hain
yeh sabj ped hain, ya pyar ki duwaye hain
tu pas ho ke nahi fir bhi tu mukabil hain

har ek shay hain mohabbat ke nur se roshan
ye roshani jo na ho, jindagi adhuri hain
raahe wafa mein, koyi hamasafar jaruri hain
yeh rasta kahi tanaha kate toh mushkil hain

No comments: