Mukesh:
Hmmm..
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Lata:
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Mukesh:
Hhmm, pawan kare sor
Lata:
Pawan kare shor
Mukesh:
Arey baba shor nahin .. sor, sor
Lata:
Pawan kare sor
Mukesh:
Haan..
Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor..
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor
Lata:
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor
Mukesh:
Raama gajab dhaae, yeh purwaiyya
Lata:
Naiyya sambhalo kit, khoe ho khiwaiyya
Mukesh:
Rama gajab dhaae, yeh purwaiyya
Lata:
Naiyya sambhalo kit, khoe ho khiwaiyya
Mukesh:
Hey.. Purwaiya ke aage, chale naa koi zor
Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor
Lata: Ooo
Lata, Mukesh:
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor
Lata:
Maujhwa kare kyaa jaane, humko ishaara
Mukesh:
Jaana kahaan hai poochhe, nadiyaa ki dhaara
Lata:
Maujhwa kare kyaa jaane, humko ishaara
Mukesh:
Jaana kahaan hai poochhe, nadiyaa ki dhaara
Lata:
Marzi hai tumhari, le jaao jis or
Jiyara re jhoome re aise re jaise banmaa naache mor
Mukesh: Ooo
Lata, Mukesh :
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor
Lata:
Jinke balam bairi, gaye hain bideswa
Aaye hain leke unke, pyaar ka sandeswa
Kaali maat waari ghathaye ghan.ghor
Jiyara re jhoome aise jaise banmaa naache mor
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor
Sunday, May 2, 2010
Sawan Ka Mahina - Sunil Dutt & Nutan - Milan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment