Tuesday, May 4, 2010

Henna: Dher Na Ho Jaye Kahi

kab aaoge kab aaoge jism jaan juda hogi kya tab aaoge
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

kahan hai ronake mahfil yahi sub poochte hai
barha tere na aane sabab puchte hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye

har baat ka wakt mukarar hai har kaam ki saat hoti hai
wakt gaya to baat gayi bus wakt ki kimat hoti hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

rasta roka kabhi kali ghata ne
ghera dala kabhi baren hawa ne
bijli chamak ke lagi aankhe dekhane
bedle hai kaise kaise tevar faza ne
sare vade irade barshaat aake dho jati hai
main der karta nahin der ho jati hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

dil diya aitbaar ki had thi
jaan di tere pyaar ki had thi
mar gaye hum khuli rahi aankhe
yeh tere intezar ki had thi
had ho chuki hai aaja jaan par bani hai aaja
mehfil saji hai aaja ke teri kami hai aaja
der na ho jaye kahin der na ho jaye

aaho ki kasam tujhe naalo ki kasam hai
khawaboo ki kasam tujko khayaalo ki kasam hai
In bajte chiraago ke ujalo ki kasam hai
aaje ke tujhe chahnewalo ki kasam hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

aaja ve mahi tera rasta ho dekhdiya
dar se hatti nahin nazar aaja
aaja dil ki pukar par aaja
der karna teri aadat thi sahi
der se hi sahi magar aaja
aaja ve mahi tera rasta ho dekhdiyan

No comments: