Hoye, Chadhti Jawaani Meri Chaal Mastani
Tune Kadar Na Jaani Rama
Haaye Rama, Haaye Rama, Haaye Rama
Uljhe Kaahe Re Main Hoon
Surat Mein Tujhse Badh Ke Kahin
Thehri Tu Hai Jawaan To
Main Bhi Sajeela, Kuch Kam Nahi
Haaye, Duniya Huyi Re Mere Pyar Mein Deewani
Laakhon Ki Main Diljaani Rama
Chadhti Jawaani Meri Chaal Mastaani…
Woh Kaun Aisi Hai Jiska
Hai Roop Aisa Jaadoo Bhara
Laaye Main Bhi To Dekhun
Tu Jiski Dhun Mein Hai Bawara
Hoye, Uske Kadam Choome Teri Jawaani
Woh Hai Saher Ki Rani Rama
Chadhti Jawaani Meri Chaal Mastani
Tune Kadar Na Jaani Rama
Haaye Rama, Hoye Rama, Haaye Rama
Ab To Tohe Bataana
Hoga Re Kaisi
Chhab Hai Meri
Oh Ho Maine Kahan Kab
Dikhne Mein Tu Hai, Aisi Buri
Haaye Dekhe Jo Mohe Tere Pyar Ki Woh Rani
Ho Jaaye Saram Se Paani Raama
Hoye Chadhti Jawaani Meri Chaal Mastani
Tune Kadar Na Jaani Rama
Ho Rama, Ho Rama, Ho Rama
No comments:
Post a Comment